Posts

Showing posts from June, 2011

"Aa Jao Laut Ke Tum"

Image
 Aaj mere kadam fir ,Un raaho me aa gaye, Jin raaho me, Mai kabhi chali thi, Uske sath,Uske hatho ko majbooti se thamkar, Uske kadamo ke saath, Apne kadam mila  kar, Par ye aaj,Kaisa doar aaya hai meri zindagi me Ki,Mai bhi vahi hu,Raah bhi vahi hai,Bas Kami hai to uske saath ki, Aaj is viraan raah me, Tanha ghum rahi hu, Janti hu ki,wo nahi ayega,fir bhi,Nigaho me ek aas rahti hai,  Uske aane  ki....................

"Bewafai Ek Gum ki"

Image
Aaj zindagi ne apna hi liya usko, Aakhir kab tak,Mai usko nakarti rahti, Mana ki mai usse pyar nahi karti, Mana ki mai nahi chahti thi, Ki,Kabhi wo meri zindagi mai aaye, Par,Kya karu,Aaj wo meri zindagi ban gaya hai, Usne khusi nahi di ,to kya hua, Aaj mere paas ,Uske gamo ka fasana hai, Wo daasta mujhe ,Aaj bhi yaad hai, Ki,Kaise wo mujhe apnane ke junoon me, Mere aas paas bhatakta tha, Uski aankho me,aaj bhi mere liye, Gamo ka vahi sagar umarta hai, Jo kabhi pahle tha,uski tarap aaj bhi, mere liye,Us aasiq ki tarah hai, Jo apni masooka ko pane ke liye dino raat tarapta hai, Mana ki,Wo mujhe is jahan me, Sabse jayada pyar karta hai, Magar mai khus nahi, Mana ki,usne meri jholi me,Duniya bhar ke gamo ko, Daal diya,Magar mai fir bhi dukhi nahi, Par,Aaj jab mujhe uske gam,mujhe Apni Khusi lagne lage,To ushe ahsaas ho gaya, Ki,Wo ek "GUM "hai, Aur,gum khisi ko khusi nahi de sakta, To,wo mere sath BEWAFAYI karke chala gaya.

"EK EHSAAS TERI BEWAFAI KA"

Aaj zindagi ko ehsaas ho gaya, Tujhse door jane ka, Ahsaas hote hi ,Sawaal ho gaya, Is dil se, Aakhir kyo? Ye mere saath hi kyo? Fir khayal aaya, Tu meri zindgi se jana chahta tha, Par,Maine kabhi kuch nahi kaha, Socha zindagi teri hai,Lekin fir bhi, Is dil ne tujhe rokna chaha tha, Par ,Jhuki palko ne tujhe alwida kah diya, Aur,Tujhe ye bhi ehsaas na hone diya, Ki,Tujhe jate hue ye nahi dekh sakti, Fir tune is dil se jana chaha, Socha dil se chala gaya to kya hua, Tera ahsaas to aaj bhi hai ,Is zindagi me, Par aaj mujhe aisha kyo laga Ki tera ahsaas mit gaya hai is dil se Saayad,Isliye Kyoki,                               Aaj mujhe ahsaas ho gaya Ki tu Bewafa tha....

"AAHAT KISHI KI AHSAAS KISI KA"

Ek aahat si hoti hai jab,Tanhaiyo me  To lagta hai ki,Shayad tu aa gaya           fir kya Machal jata hai,Ye dil aur Mahak uthta hai,Ye badan, Kadam dharti par,Na thaharte hai           Aur Mann udd jata hai,Aasman me, Aankhen kahti hai,Mai na kahin jaoongi Palke bichaungi,Teri raaho me, Aaj is kadar tujhe,Aankho me basaungi,                                                  Ki in                                         Asko ko bhi,Jagah na doongi, Baahon ka haar tere gale ne daloongi,          Fir Tere aagosh me toot ke,bikhar jaoongi         par Ek pal me,sapna,Toot jata hai,                                        Jab                                           Jati hoo darwaaje per,Aur kholti hoo kapaat To ahsaas hota hai,Ki wo teri aahat nahi, Ek hawa ka jhoka tha, Fir kya Dabe paav vaapas aati hoo Jo dil,tere aane ki khusi me,Machal sa raha tha, Vahi tadap sa uthta hai, Jo badan tere liye mahakne sa laga tha,Wahi tham sa jata hai, Kadam jo dharti ko chhuna nahi chahte the,Wahi ja

TERI YAADAIN

TERI YAADAIN

Teri yaado ko abhi tak, Seene se lagaye baithi hoo, Is toote hue dil se ,ye aas jagaye baithi hoo, Kabhi na kabhi to tu samjhega hi, Is dard-e-dil ka haal, Jeete na sahi to,marne ke baad hi samjhega, Karti hoo tujhse pyar bahut, aur karti rahoongi har dum, Agar na ho yaki ,to kabhi bhi aajma lena mujhko humdum Pyar to ho gaya tha,pahli najar me hi tujhse, Par kya pata tha ki tu,chod jayega apni yaado ke sahare mujhe, Karti hoo intjaar aaj bhi tera, Ek din to tu aayega hi ye yaki hai mera.

HUM FIR MIL GAYE

Ek din the hum,Raah me mile Par,lag raha tha,kishi anjaan se mile Haala ki, mai janta tha usko,Kabhi is dil me basaya tha usko Par,usne is dil ko tod diya,Is duniya ne mujhe akela chod diya Na jane,kya thi uski majboori, Maine bhi na poochi kyoki,Hum me ho gayi thi ab doori Ek din pata chala,Uski sakhi se,kya thi uski majboori, Tab mujhko ehsaas hua,Kyo thi hum me doori, Us doori ko mitane ka tab,Kiya faisla humne, Ek din usko bula liya ,Ushi raah par humne, Khadi thi,wo mere intaar me,Aa gayi thi humse pahle, Par lag raha tha ki uski najaro ko ,Kuch sikayat hai humse, Maine uski sikayat door ki,Le baaho me usko, Girte hue asko ko thama,In haatho ne jishko, Aa gayi thi,Chahre pe raunak uske pahle jaishi Tha mai bada khush kyoki,.Wo lag rahi thi mujhe pahle jaishi..

"IS DIL KI TARAP"

Aankhen rahti hai tatpar,Unke didaar ko, Par ye dil kahta hai,Na kar paresaan in aankho ko, Agar diddar ho gaya, to barsengi ye aankhen, Aur tarpega ye dil,Fir milegi tanhayi, Aur hogi ruswai,Tab kadam na rak payenge khud ko, Aur ye dil kahega ki,Unke jaisa pyar karne wala kahan milega tujhko, Agar ye dard, Na dena ho Is dil ko,  To door hi rakho apne kadam,Unke dar se,  Jis raah se wo gujarte hai,Us raah pe jana chod do, Agar ho mumkin to,Unke pyar karna chod do, kabhi najar mil bhi jaye,Beech raah me unse, To koi anjaan samajh kar,Muh mod lena, Tab kadam na rok paye khud ko,To unki kasam khakar, Tu apni raah badal lena.