Posts

sukoon

Sukun ki Kuch raato me  Yaad Aate ho tum Tanhayi ki baato me  Saath nibhate ho tum....hu sochti aksar, Saya ho, ya sathi ho, ya meri saaso Me basi, Khushboo....jidhar dekhu ud har Muskurate ho tum....ho jaati hu khamosh Kabhi, Kuch Soch k ....na jaane kaha se  Mujhe dhoondh...laate ho tum Ab to meri khamosiyo ko bhi Pyar ho gya h tumse Ye Jaan gye ho....isliye itna itraate ho tum

" TERE KAREEB AA RAHI HU"

Hatho se fisal rahi hai Zindagi Par khus hu mai, Tere kareeb aa rahi hu..... Har ek pal gujar Raha hai Zindagi Par khus hu Mai, Tere kareeb aa rahi hu..... Jis mod pe choda tha,kabhi tumhe Haa... us mod ke kareeb aa rahi hu Par khus hu mai Tere kareeb aa rahi hu Yakeen hai mujhko, Tum miloge, intjaar me mere Isi Khushi me bus... Chalti aa rahi hu, labo pe aaj chuppi nhi... Haa....tumse pyar hai  Bas.... yahi kahti ja rahi hu Hatho se fisal rahi hai Zindagi Par khus hu Mai, Tere kareeb aa rahi hu.... Ek Baar tum Apne sine se, laga Lena mujhe Ki dard k aanshu, kab se peeti ja rahi hu Sab dard, Khushi me badal jaayenge. Bass...yahi Soch k muskurati ja rahi hu Hatho se fisal rahi hai Zindagi Par khus hu Mai, Tere kareeb aa rahi hu.  

" IS DIL Ki NADANIYA"

Kaash unki ek najar ka injaar maine bhi kiya hota, Unke kadmo ke saath ek kadam, maine bhi liya hota , Unhone to diya tha, apna haath thamne ko mujhe, Kaash ye bharosa maine dikhaya to hota, Maloom nahi thi pyar ki had,  Kya hoti hai, Kaash is had ko paar,  Maine bhi Kiya hota, Aaj na hota itna, Dard mere seene me, Kaash ki Maine bhi Kabhi, Is Dil ko samjhaya hota, Uljhano me lipat ke rah gyi hai, Zindagi meri Kaash... ki ek faisla, Maine bhi sunaya hota Nasamajh thi mai,Jo heere ko thukraya Kaash use hamesha k liye maine  Apni maang me sajaya hota Zindagi khusnaseeb hoti,meri bhi  Bass ek kadam to Maine bhi Soch samajh k badaya hota....

"Ab Maan Bhi Jaao"

Image
  "Wo humse hai khafa,Hum unse hai khafa, Khafa kis baat pe,Ye humko kya pata, Narajgi ki pahal thi,Kiski,Is baat ka bhi hume eilm nahi, Isme khata thi bhi meri,Is baat ki bhi hume,Khabar nahi, Unki narajgi is had tak hai,Ki,Wo humse milna nahi chahte, Kahaan!dekhe bina unko chain nahi aata tha,Aaj,  Ye aalam hai,Ki,Wo humse baat bhi nahi karna chahte, Najare churaye baithe hai aishe,Ki,Humse koi,Rista hi nahi, Bewafao ki tarah baat karte hai aishe,Jaishe,Humse koi wafa hi na ho, Khud ka to pata nahi, Par,Unhe paresaan mai  nahi dekh sakti, Khud to ashk baha sakti hoo,Par unki aankho se girte ashk, Mai nahi dekh sakti,Maana ki wo naraj hai humse,Par Aaj nahi to kal mai unhe,Maana hi loongi,Fir poochoongi,mushkura ke, Kyo?janab kya khata ho gayi mujhse,gar jayaj hogi,Khata meri to, Najare jhuka ke maan bhi loongi,Fir geeli si mushkaan dekar, Mooh fer kar kahoongi,Kal tum the khafa humse,Aaj hum hai, Khafa tumse,Dekhe kaise manate ho humko,Kuch tumhari adaye bhi to dekhe.&quo

"Aa Jao Laut Ke Tum"

Image
 Aaj mere kadam fir ,Un raaho me aa gaye, Jin raaho me, Mai kabhi chali thi, Uske sath,Uske hatho ko majbooti se thamkar, Uske kadamo ke saath, Apne kadam mila  kar, Par ye aaj,Kaisa doar aaya hai meri zindagi me Ki,Mai bhi vahi hu,Raah bhi vahi hai,Bas Kami hai to uske saath ki, Aaj is viraan raah me, Tanha ghum rahi hu, Janti hu ki,wo nahi ayega,fir bhi,Nigaho me ek aas rahti hai,  Uske aane  ki....................

"Bewafai Ek Gum ki"

Image
Aaj zindagi ne apna hi liya usko, Aakhir kab tak,Mai usko nakarti rahti, Mana ki mai usse pyar nahi karti, Mana ki mai nahi chahti thi, Ki,Kabhi wo meri zindagi mai aaye, Par,Kya karu,Aaj wo meri zindagi ban gaya hai, Usne khusi nahi di ,to kya hua, Aaj mere paas ,Uske gamo ka fasana hai, Wo daasta mujhe ,Aaj bhi yaad hai, Ki,Kaise wo mujhe apnane ke junoon me, Mere aas paas bhatakta tha, Uski aankho me,aaj bhi mere liye, Gamo ka vahi sagar umarta hai, Jo kabhi pahle tha,uski tarap aaj bhi, mere liye,Us aasiq ki tarah hai, Jo apni masooka ko pane ke liye dino raat tarapta hai, Mana ki,Wo mujhe is jahan me, Sabse jayada pyar karta hai, Magar mai khus nahi, Mana ki,usne meri jholi me,Duniya bhar ke gamo ko, Daal diya,Magar mai fir bhi dukhi nahi, Par,Aaj jab mujhe uske gam,mujhe Apni Khusi lagne lage,To ushe ahsaas ho gaya, Ki,Wo ek "GUM "hai, Aur,gum khisi ko khusi nahi de sakta, To,wo mere sath BEWAFAYI karke chala gaya.

"EK EHSAAS TERI BEWAFAI KA"

Aaj zindagi ko ehsaas ho gaya, Tujhse door jane ka, Ahsaas hote hi ,Sawaal ho gaya, Is dil se, Aakhir kyo? Ye mere saath hi kyo? Fir khayal aaya, Tu meri zindgi se jana chahta tha, Par,Maine kabhi kuch nahi kaha, Socha zindagi teri hai,Lekin fir bhi, Is dil ne tujhe rokna chaha tha, Par ,Jhuki palko ne tujhe alwida kah diya, Aur,Tujhe ye bhi ehsaas na hone diya, Ki,Tujhe jate hue ye nahi dekh sakti, Fir tune is dil se jana chaha, Socha dil se chala gaya to kya hua, Tera ahsaas to aaj bhi hai ,Is zindagi me, Par aaj mujhe aisha kyo laga Ki tera ahsaas mit gaya hai is dil se Saayad,Isliye Kyoki,                               Aaj mujhe ahsaas ho gaya Ki tu Bewafa tha....